Dor koi bhi ho, baiton kay liaya maon kay khaab aik jaisay hee hotay hain
Un khabon kee zari main, kaheen tu doaun kee girhain lagnay lagti hain
aur kaheen umeed kee sheereni banti jaati hai
Laikin aksar surmay kee kaali lakeeron kay raastay saaray khaab beh jaatay hain
Kiyon kay tareekh ko shayad aik hee rang pasand tha…. laal rang
Wo….
Is do harfi kee bohat see shaklain hain
Wo ..jisay hum umer bhar chahtay hain
Wo…jissi hum kabhi nahi chahtay
Wo... jo hamaray saath rehta hai..
Wo… jo kabhi nahi milta..
Wo..jiss say hum naraz rehtay hain
Aur Wo.. jo apni marzi rakhta hai
Intezaarr
Bachpan main khilono ka intezar
Duaaon kay baad baarish ka intezar
Intezaar!!!!!
Chaltay chaltay koi naam dhoondta rehta hai
Gali kay moar pay tasweerain banata rehta hai
Kundiyon main atka rehta hai
Intezaar khatam ho jaata tu aankhain raaston say uth kay khud ko band na ker laiteen?
Intezaar kerna zaroori hai
Laikin intezaar ka thaiher jaana tu zaroori nahi
Hamaray pairon say bandhay raastay na ginti kay hain na gin’nay kay
Zindagee zaroorat kee unglii pakray dorti chali jaati hai
Koi awaz, koi sakoon, koi wada iss say rok nahi sakta
Khaahishon ka shoar, awaaz ko goongha ker daita hai
Aur zaroorat kee umar barhti rehti hai
Zindagee…zindagee bhala kahan rukti hai
Aik din mujhay raastay main aik shaks mila
Us nay haaton main do aik jaisay chehray utha rakhay thay
Poocha.. in do chehron ka kiya matlab
Bola.. aik main khud hoon, doosra ..duniya
Poocha..in main say tum kon ho
Bola..ab yaad nahi raha
Phir Poocha… iss ka fiada??
Bola..mujhay nuksaan say fiada uthanay kee aadat ho chuki hai
Kaheen door aik takhtii pay likhay hoyay kuch lafz muskura diaya
Aur hum dono nay apnay apnay chehray utha liyay
No comments:
Post a Comment